Monday, March 16, 2015

1) Alhamd Faateha hai Quraan-e-Kareem Ka

Alhamd Faateha hai Quraan-e-Kareem Ka 
Laa Raib har waraq hai Alif Laam Meem Ka 

Jab say liya hai naam Khuda-e-Raheem Ka
Khatra nahin raha mujhay duzd Rajeem Ka


Kaisay karoun main shukr Ghafoor-ur-raheem Ka 
Irfaan mujh ko bakhsha Rasool-e-Kareem Ka 

Banda houn kiska banda houn Rabb-e- Kareem Ka
Ya’nee shafi-e-hashr Raoufur-Raheem Ka 


Mujh ko pata hai Khauf nahin hai jaheem ka 
Hoga jo faisla meray haq main Kareem ka 

Is nai’mat-e-tamaam pay an’amt hai gawaah
Mujh ko mila shu-’oor rahay mustaqeem ka


Har zar rah hai jahan ka aks wajood zaat
Haadis bata raha hai pata kya qadam ka 

Sadqa Huzoor-e-Paak () ka anjaam ho bakhair 

Aalam baraa-hi sakht hai ummeed-o-beem ka 

Har bay Khabar ki rehti hai har pal jisay khabar 
Banda hai Khushtar aisay Khabeer-o-aleem ka

No comments:

Post a Comment