Tuesday, April 7, 2015

10) Pyaray Muhammad (ﷺ) Tera Naam-e-Naami

Pyaray Muhammad (ﷺ) Tera Naam-e-Naami                                            
Likha Arsh Par Hai Bakhat-e-Giraami

Tu Payghaam Mera Main Tera Payaami                                                         
Aur Tujh Par Salaat-o-Salaam-e-Dawaami

Saturday, April 4, 2015

9) Tera Aastana Hai Main Hon Jabin Hai

Tera Aastana Hai Main Hon Jabin Hai                       
Yeh Sajday Ki Me’raaj Kitni Haseen Hai

Dayaar-e-Habeeb-e-Khuda (ﷺ) Allah Allah 
Jidhar Dekhiay Khuld Manzar Zami Hai

8) Bazm-e-Milaad-e-Nabi (ﷺ) hai har

Bazm-e-Milaad-e-Nabi (ﷺ ) Hai Har Musalma Shaad Hai                                
Aamina Kay Laal Piyaray Mustafa (ﷺ) Ki Yaad Hai

Ankh May Roza Zaban Pay Naam Dil May Yaad Hai                                      
Aiyay Aaqa (ﷺ) Yeh Ghar Ab Har Tarhan Aabaad Hai

7) Baat Hai Yeh Baray Kareenay Ki

Baat Hai Yeh Baray Kareenay Ki                  
Aarzo Dil Ko Hai Madeenay Ki


Itr Bayzi Ka Kya Kahon Aalam                      
Jism-e-Aqdas Kay Us Paseenay Ki


6) Chaman say duur hon

Chaman Say Duur Hon Khushtar Karaar Aaay To Kya Aaay                          
Madeenay Say Juda Hon Kya Bahaaron May Maza Aaay


Nah Unsa Rehnuman Aaay Nah Unsa Paishwa Aaay                                          
Jo Apni Ibtida Ki Khud Hi Ban Kar Intaha Aaay

Tuesday, March 24, 2015

5) Unkay Darbaar-e-Aqdas May

Unkay Darbaar-e-Aqdas May Hum Aagaiy
Downon Aalam Ka Maqsood Hum Pagaiy 


Chor Ahbaab Jab Mujh Ko Tanha Gaiy
Waali Umat Keh Aisay May Khud Aagaiy

4) Yeh Saaray Ambiya

Yeh Saaray Ambiya aa ay jo Khushtar Muqtada ban kar
Khabar Lay Kar unhein aana tha aa ay mubtada ban kar 


Wohi jo Arsh par tha jalwah gar noor-e-Khuda ban kar
Madeena main basad anwaar aaya Mustapha 
 ban kar 

3) Apnay Daaman Main Chupalain

Apnay daaman main chupalain to bahut ach-cha ho
Khauf-e-mehshar say bachalain to bahut ach-cha ho


Youn to har chah-nay wala hai tumhara aaqa
Mujh ko bhi apna banalain to bahut ach-cha ho

Monday, March 16, 2015

2) Maabood hai tu zaat teri lamyazali hai

Maabood hai tu zaat teri lamyazali hai 
Aabid tera har eik Nabi aur Wali hai 

Tu qaadir-e-mutlaq hai teri shaan jali hai 
Har cheez teray hukm kay saanchay main dhali hai 

1) Alhamd Faateha hai Quraan-e-Kareem Ka

Alhamd Faateha hai Quraan-e-Kareem Ka 
Laa Raib har waraq hai Alif Laam Meem Ka 

Jab say liya hai naam Khuda-e-Raheem Ka
Khatra nahin raha mujhay duzd Rajeem Ka

Preface

Dear Readers, 

The exalted personality of His Eminence, Mubaligh-e-Islam, The International 
Ambassador of Imam Ahmad Rida Khan, Hazrat Allama Maulana Alhaaj Sha Muhammad Ibrahim Khushtar Siddiqui Qadri Razvi (Radi Allahu Ta’ala Anho) is one that requires no introduction throughout the Sub-continent, Europe and Africa.